You can access the distribution details by navigating to My Print Books(POD) > Distribution
Swami Vankhandi Maharaj ji se sakshatkar, satsangon par aadharit roohi bhasha mein prakashit 'Bhagwan ka priya naam' pustak se anuvaadit
'Kaliyug Keval Naam Adhara'. Yah pustak Maharaj ji ke roohi bhakton dwara bharatiya hindi bhashi janmanas ko pradan ek anupam upahaar hai. Is pustak mein samahit Maharaj ji ke pravachanon mein gyan, vigyan aur adhyatm ki badi-badi rahasyamayi baatein nahin hain balki hum sabke dainik jeevan, aachar-vichar, vyavhar se sambandhit kalyankari baatein hain, jo nirasandeh manavta ke liye vardaan sadrshya hain. Maharaj ji batate hain ki yadi aap mumukshu hain to kaisa jeevan jiye; sadhak aur bhakt hain to kaise jiye aur grihsth hain to kaise jiye. Apne pravachanon mein Maharaj ne apni sadhana kaal ke anubhav aur unko huye divya darshanon ki baatein rochak tarike se bataayein hain jo aashcharya aur rahasya ki duniyon mein pravesh karati hain. Ye baatein ingit karati hain ki manav se mahamanav banne...
Currently there are no reviews available for this book.
Be the first one to write a review for the book Kaliyug Kewal Naam Adhara.